Showing posts with label Mirza Asad Ullah Khan Ghalib. Show all posts
Showing posts with label Mirza Asad Ullah Khan Ghalib. Show all posts

Tuesday, 1 November 2016

Na kuch tha tu khudatha, kuch na hota tu khuda hota By Mirza Ghalib

Na kuch tha tu khud atha, kuch na hota tu khuda hota
Dabuya mujh ko hony ny, na hota mai tu kiya hota,

Hwa jab gham sy youn be-his Tu Gham kiya sar ke katny ka
na hota gar juda tan sy Tu zanoo par dhara hota 

Hwi mudat ke Ghalib mar gya par yaad ara hai 
Woh har ik baat py kehna ke youn hota tu kiya hota 
Image result for na tha kuch to khuda tha(Mirza Ghalib) 



Koe umeed bar nahi ati, by Mirza Ghalib

Koe umeed bar nahi ati,
Koe sorat nazar nahi ati,

Mot ka ik din mue'yin hai,
Neend q raat bahr nahi ati,

Agy ati the haal-e-dill py hansi,
Ab kisi baat par nahi ati,

hai kuch aisi hi baat jo chup hon
Warna kiya baat kar nahi ati

Ham wahan hain jahan sy hm ko bhi
Kuch hamari khabar nahi ati

Marty hain arzu mai marny ki
Mot ati hai par nahi ati

Kaabe kis moun sy jaw gy Ghalib
Sharam tum ko magar nahi ati
(Mirza Ghalib)


Image result for ghalib ghazals



Monday, 31 October 2016

ishq mujhko nahi wahshat hi sahi By Mirza Asad Ullah Khan Ghalib

ishq mujhko nahi wahshat hi sahi
meri wahshat teri shohrat hi sahi

qata kije na talluq ham se
kuch nahi hai to adawat hi sahi

mere hone mein hai kya ruswai
ye wo majlis nahi khalwat hi sahi

ham bhi dushman to nahi hain apne
gair ko tujh se mohabbat hi sahi

apni hasti hi se ho jo kuch ho
agahi gar nahi gaflat hi sahi

umr har chand ki hai barq-e-khiram
dil k khun karne ki fursat hi sahi

ham koi tarq-e-wafa karte hain
na sahi ishq musibat hi sahi

kuch to de ai falak-e-nainsaf
ah-o-fariyad ki rukhsat hi sahi

ham bhi taslim ki khu dalenge
beniyazi teri adat hi sahi

yar se cheda chali jaye "Asad"
gar nahi wasl to hasrat hi sahi
(Mirza Ghalib)


Image result for ishq mujhko nahi wahshat hi sahi

Tuesday, 6 September 2016

Yaad-e - Maazi Azaab Hai Yah Rab, By Mirza Asad Ullah Khan Ghalib

Mirza Asad Ullah Khan Ghalib, the most famous poet of Indo-Pak. The Shakespeare of Urdu literate. One of his best ghazal is here 




Seena khoon se bhara hua mera,
Uff yeh bd-mast mai-kada mera,

Na-rasaayi pe naaz hai jis ko,
Haaye woh shoq na-rasaa mera,

Ishq ko muu dikhaaon ga kyun-kar,
Hijr main rang urr geya mera,

Dil gham-deeda pr khudaa ki maar,
Seena aahon se chhal geya mera,

Yaad ke tand-o-taiz jhonkay se,
Aaj har daagh jal utha mera,

Yaad-e-maazi azaab hai ya rab,
Cheen le mujh se haafza mera,

Minat-e-chargh se barii hoon main,
Na hua jeetay jee bhala mera,

Hai bara shughal zindagi akhtar,


Poochte ho kya mashghala mera..