Showing posts with label Haider Ali Aatish. Show all posts
Showing posts with label Haider Ali Aatish. Show all posts

Wednesday, 2 November 2016

Yeh Arzu the, Tujhy Gull ke ru-bro karty By Haider Ali Aatish

Yeh Arzu the, Tujhy Gull ke ru-bro karty
Hm or BulBul-e-BeTaab Guftagu Karty

Piyambar na Mayasar Hwa, Tu Khob Hwa
Zuban-e-Ghair sy kiya Shrah Aarzu Karty

Meri Trah sy Mehr-o-Mah Bhi Hain Aawara
Kisi Habeeb ki yeh Bhi Hain Justaju Karty

Jo Dekhty Teri Zangeer-e-zulf ka Aalam
Aseer Hony Ki Azaad Arzu Karty

Na Poch Aalam-e-Bar-Ghashta tale'e Aatish
Basrasti Aag, Jobaran Ki Arzu Karty
(Haider Ali Aatish)


Image result for aatish shayari

Friday, 16 September 2016

Tarpty Hain Na Roty Hain, Na Hum Faryaad Karty Hian, Haider Ali Aatish

Khawaja Haider Ali Aatish (1778–1848) of Lucknow was one of the legends of Urdu poetry whose literary rivalry with his modern Nasikh produced a number of rare lyrical gems. Khawaja Haider Ali Aatish was born in 1778 in Faizabad. His poems, ghazals and poetry collections are very popular among people of South Asia. Kulliyat -e- Khwaja Haider Ali Atish is one of his famous collections. He died in 1846 in Lucknow. His poems are bought together under “Deewan-e-Aatish”. You can read all the Latest Poems by Aatish Haider Ali online. Aatish Haider Ali's famous poetry includes: Sun To Sahii Jahaan Main, Tarapate Hain Na Rote Hain Na and Ye Aarazuu Thii Tujhe Gul Ke.


Tarpty Hain Na Roty Hain, Na Hum Faryaad Karty Hian
Sanam Ki  Yaad Mai har Dam Khuda Ko yaad Karty Hain
Unhi Ky Ishq Mai Hum Naala-o-faryaad Karty Hain
Ilahi Dekhye Kis Din Hmain Woh yaad Karty Hain
Shaab-e-Farqat Mai Kiya KIya Saanp Lehraty Hain Seeny Par
Tmhari Kakal Paichan Ko Jab Hum Yaad Karty Hain
                                         Haider Ali Aatish