Showing posts with label urdu shaeri. Show all posts
Showing posts with label urdu shaeri. Show all posts

Friday, 25 November 2016

Ghumaan by Parveen Shakir

Ghumaan

Mai kachi neend mai hon
Or apny neem khawabeeda tanafus mai utarti 
Chandani ki chaap sunti hon
Ghumaan hai
Aaj Bhi shaed
Mery mathy pe tery lab
Sitary sabbat karty hain 
(Perveen Shakir)

Image result for parveen shakir ghazals

Wednesday, 2 November 2016

Ashk Ankhon Mai Kab Nahi Aata By Meer Taqi Meer

Ashk Ankhon Mai Kab Nahi Aata
Lahu Ata Hai Jab Nahi Aata

Hosh Jata Nahi Rha Lykn
Jab Woh Ata Hai Tab Nahi Aata

Sabr Tha Aik Mons-e-Hijraan
So Woh Mudat Sy Ab Nahi Aata

Dill Sy Rukhsat Hwi Koe Khwaesh
Girya Kuch Be-sabab Nahi Aata

Ishq Ko Hosla hai Shart Wrna
Baat Ka Kis Ko Dhab Nahi Aata

Ge Mai Kiya Kiya Hai Apny Ay Hamdam
Pur Sukhan ta Balab Nahi Aata

Dor Betha Ghubar Meer Is Sy
Ishq Bin Yeh Adab Nahi Aata
(Meer Taqi Meer) 
Image result for meer taqi meer ghazals

Tu Pyar Hai Kisi Aur Ka, Tujhy Chahta Koe Or Hai

Tu Pyar Hai Kisi Aur Ka
 Tujhe Chahata Koi Aur Hai
 Tu Pasand Hai kisi Aur Ki 
Tujhe Mangta Koi Aur Hai.

Kon Apna HaiKiya Begana Hai
Kiya Haqeeqat Hai Kiya Fasana Hai 
Ye Zamane Mein Kisne Jana Hai.

Tu Nazar Mein Hai kisi Aur Ki
Tujhe Dekhta Koi Aur Hai
 Pyar Mein Aksar Aisa Hota Hai 
Koi Hasta Hai Koi Rota Hai.

Koi Paata Hai, Koi Khota Hai 
Tu Jan Hai Kisi Aur Ki
 Tujhe Janta Koi Aur Hai 

Tu Pyar Hai Kisi Aur Ka 
Tujhe Chahta Koi Aur Ha
i Tu Pasand Hai kisi Aur ki
Tujhe Mangta Koi Aur hai...!

Tuesday, 1 November 2016

Hawas Ne Tukre Tukre Kar Diya Hai Na’u Insan Ku, By Allama Iqbal



Hawas Ne Tukre Tukre Kar Diya Hai Na’u Insan Ku

Akhuwwat Ka Bayan Ho Ja Mohabbat Ki Zaban Ho Ja

Ye Hindi, Wo Khurasani, Ye Afghani, Wo Turani

Tu Ay Sharmindayeh Sahil Uchhal Kar Bekaraan Ho Ja

Yun Tu Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho

Tum Sabhi Kuch Ho, Batao Tu Musalman Bhi Ho?

Jo Karega Imtiyaz Rang o Khoon Mit Jayega

Turk Kharghai Ho Ya Arabi Wala Gohr

Ek Houn Muslim Haram Ki Pasbani Ke Liye

Neel Kay Saahil Se Lay Kar Ta Ba Khak Kashghir

Shajar Hai Firqa Arayee, Ta’assub Hai Samar Iska

Ye Wo Phal Hai Jo Jannat Se Nikalwata Hai Adam Ku

Firqa Bandi Hai Kaheen Aur Kaheen Zatein Hain

Kya Zamane Mein Panapne Ki Yahee Batein Hain?

Zaban Se Kah Bhi Diya La Ilaha Illah To Kya Hasil?

Dil-o-Nigah Musalman Naheen To Kuchh Bhi Naheen

Zaban Se Gar Kiya Tauheed Ka Da’wa To Kya Hasil?

Banaya Hay Bute Pindaar Ku Apna Khuda Tu Ne

Khuda Ne Aaj Tak Us Qaum Ki Haalat Naheen Badlee

Na Ho Jisko Khyal Aap Apni Haalat Ke Badalne Ka

Wahi Derina Bimari Wahi Namuhkami Dil Ki

Ilaj Iska Wahi Aabe Nishat Angez Hay Saaqi

Dil-e-Murda Dil Naheen Hay Ise Zinda Kar Dobara

Ke Yahee Hay Ummaton Ke Marge Kuhan Ka Chara

Manf-e-at Ek Hai Is Qaum Ki Nuqsaan Bhi Ek

Ek Hi Sab Ka Nabi Deen Bhi Iman Bhi Ek

Haram-e-Paak Bhi Allah Bhi Quran Bhi Ek

Kuchh Bari Baat Thi Hote Jo Musalman Bhi Ek
(Allama Iqbal)

Thursday, 13 October 2016

Kya zamana tha k har roz mila karte the

Kya zamana tha k har roz mila karte the
Raat bhar chaNd k hamraah phira karte the
JahaaN tanhaaiyaaN sar phoR k so jati haiN
Un makaanoN main ajab log raha karte the
Kar diya aaj zamaane ne unhen bhi majbur
Kabhi yeh log mere dukh ki dawa karte the
Dekh kar jo hamain chup chap guzar jata hai
Kabhi us shakhs ko hum pyar kiya karte the
IttefaaQaat E zamana bhi ajab haiN ‘Nasir’
Aaj woh dekh rahe haiN jo suna karte the

Wednesday, 7 September 2016

Ae chand yahan na nikla kar, By Habib Jalib


Ae chand yahan na nikla kar,
Be nam se sapne dikhla kar,
Yahan ulti ganga bahti hai,
Is dais main andhe hakim hain,
Na darte hain na nadim hain,
Na logon k wo khadim hain,
Hai yahan pe karobar bohat,
Is dais main gurbat bikte hain,
Kuch log hain aali shan bohat,
Aur kuch ka maqsad roti hai,
Wo kahte hain sab acha hai,
Maghrib ka raj he sacha hai,
Ye dais hai andhe logon ka,
Ae chand yahan na nikla kar...

اے چاند یہاں نہ نکلا کر
بے نام سے سپنے دیکھا کر
یہاں اُلٹی گنگا بہتی ہے
اس دیس میں اندھے حاکم ہیں
نہ ڈرتے ہیں نہ نادم ہیں
نہ لوگوں کے وہ خادم ہیں
ہے یہاں پہ کاروبار بہت
اس دیس میں گردے بکتے ہیں
کچھ لوگ ہیں عالی شان بہت
اور کچھ کا مقصد روٹی ہے
وہ کہتے ہیں سب اچھا ہے
مغرب کا راج ہی سچا ہے
یہ دیس ہے اندھے لوگوں کا
اے چاند یہاں نہ نکلا کر
{حبیب جالب}


La Hasil Hi Sahi Muhabbat Tujhi sy Hai

ik Ghari Kiya Khareed Li Mai Ny 
Wakt Peechy Hi Parh Gya Mery





Ilahi Pholon Mai Woh Intikhab Mjh Ko kary
Kali Sy Rashk Gull e Aaftaab Mujh Ko Kary




Qismat Sath Nahi Deti 
Bilkul Tery Jesi  Hai 




Lahasil Hi Sahi Magr 
Muhabbat Tujh Sy Hi Hai


Tuesday, 6 September 2016

Tery Ishq Ki Inteha Chahta Hon BY Allama Muhammad Iqbal

Allama Muhammad Iqbal,the  poet of East, is considered one of the most important figures in Urdu literature.Though Iqbal is best known as an eminent poet, he is also a highly acclaimed "Muslim philosophical thinker of modern times".

Tere ishq ki inteha chaahta hooN
Meri saadgi dekh kya chaahta hooN
Sitam ho K ho wadaa E be-hijaabi
Koi baat sabr-aazma chaahta hooN
Yeh Jannat mubarak rahe zaahidoN ko
K maiN apka saamna chaahta hooN
Zara sa to dil hooN magar shauq itna
Wohi lantaraani suna chaahta hooN

Koi dum ka mehmaan hooN ae ahl E mahfil
Chirag E sehar hooN bujha chaahta hooN
  Bhari bazm meN raaz ki baat kahdi
BaRa be-adab hooN sazaa chaahta hooN
                                                                                                   (Iqbal)