Friday, 25 November 2016

Gaye baras ki eid ka din kya achchha tha by Parveen Shakir

Gaye baras ki eid ka din kya achchha tha
ChaaNd ko dekh ke uskaa chehra dekha tha
Feza mein ‘Keats’ ke lehje ki nermahat thi
Mausam apne rang mein ‘Faiz’ ka misraa tha
Duaa ke be-aawaaz, uloohi lamhoN mein
Woh lamhaa bhi kitna dilkashh lamha tha
Hath uTha ker jab aNkhoN hi aNkhoN mein
Us ne mujh ko apne Rab se maaNgaa tha
Phir mere chehre ko haathoN mein le ker
Kitne pyar se mera maatha chooma tha!
Hawa! kuch aj ki shab ka tu ahwaal suna
Kya woh apni chhat per aaj akela tha?
Ya koi mere jeisi saath thi, aur uss ne
Chand ko dekh ke us ka chehra dekhaa tha?
(Parveen Shakir)

No comments:

Post a Comment