Urdu Shaeri


Irada Roz Karta Hon, 
Magr Kuch Kar Nahi Sakta
Mai Peshawar Frebii Hon, Muhabat Kar Nahi Sakta.....

Bury Ho Yah Ke Achy Ho
Mjhy Is Sy Nahi Matlab
Mjhy Matlab Sy Matlab Hai, Mai Tum Sy Lar nahi Sakta......

Yahan Har Dosra Insan
Khuda Khud Ko Smjhta Hai,
Khuda Bhi Woh Jo apni Jholi Bhar Nahi Sakta....

Najany Aadmi Q Aadmi Sy Khof Khata  Hai
Jo Apny Rab Sy Darta Hai
Kisi Sy Dar Nahi Sakta....

Mai Us Ghar Ki Muqeemi Hon
Jisy Ooqaar Kehty Hain,
Mai Apni Had Mai Rehta Hon
So Aghy Barh Nahi Sakta....

Abhi Kuch Sahir Rehty Hain
Magar LIkhny Nahi Hargiz,
Kisi KI laaj Bhi Rakhni Hai, So Zaahir Kar Nahi Sakta.....





Faqeerana Aye Sada kar Chaly
Miyan Khush rahu Ham Dua Kar Chaly

Jo Tujh Bin Na Jeeny Ko Khty Thy Ham
So Is Ahed Ko Ab Wafa Kar Chaly

Shifa Apni Taqdeer Hi Mai Na The
Ke Maqdor Tak Tu Dawa kar Chaly

Woh Kiya Cheez Hai Aah Jis Ke Leye
Har Ik Chez Sy Dill Utha kar Chaly

Koe Na Umeedana Kr Ly Nigah
So Tum Ham Sy Mounh Bhi Chupa Kar Chaly

Boht Aarzu The Galli Ki Teri 
So yhan Sy Lahu Mai Niha Kar Chaly
(Meer Taqi Meer)

Image result for meer taqi meer ghazals



Ashk Ankhon Mai Kab Nahi Aata
Lahu Ata Hai Jab Nahi Aata

Hosh Jata Nahi Rha Lykn
Jab Woh Ata Hai Tab Nahi Aata

Sabr Tha Aik Mons-e-Hijraan
So Woh Mudat Sy Ab Nahi Aata

Dill Sy Rukhsat Hwi Koe Khwaesh
Girya Kuch Be-sabab Nahi Aata

Ishq Ko Hosla hai Shart Wrna
Baat Ka Kis Ko Dhab Nahi Aata

Ge Mai Kiya Kiya Hai Apny Ay Hamdam
Pur Sukhan ta Balab Nahi Aata

Dor Betha Ghubar Meer Is Sy
Ishq Bin Yeh Adab Nahi Aata
(Meer Taqi Meer) 
Image result for meer taqi meer ghazals





Ibtad-e-Ishq Hai Rota Hai Kiya
Aagy aagy Dekhye Rota Hai Kiya

Qafly Mai Subh Ke Ik Shor Hai
Yani Gafil Ham Chlay Sota Hai Kiya

Sabz Hoti Hi Nahi Yeh Sar-zameen
Takhum Khwaesh Dill Tu Bota Hai Kiya

Yeh Nishan Ishq Hain Jaty Nahi
Dagh Chati Ke Abas Dhota Hai Kiya
(Meer Taqi Meer)

Image result for meer taqi meer ghazals



BeKali, Be-Khudi Kuch Aaj Nahi
Ik Mudat sy Woh Mizaaj Nahi

Hum Ny Apni Si Ki Boht Lykn
Marz-e-Ishq Ka Ilaaj Nahi

Dard Agr Yeh Hai Tu Mjhy Bas Hai 
Ab Dawa ki kuch Ahtiyaaj Nahi

Shehr-r-Khobi Ko Khoob Dekha Meer
Jins-e-Dill Ka Kaheen Riwaaj Nahi
(Meer Taqi Meer)
Image result for meer taqi meer ghazals


Yeh Arzu the, Tujhy Gull ke ru-bro karty
Hm or BulBul-e-BeTaab Guftagu Karty

Piyambar na Mayasar Hwa, Tu Khob Hwa
Zuban-e-Ghair sy kiya Shrah Aarzu Karty

Meri Trah sy Mehr-o-Mah Bhi Hain Aawara
Kisi Habeeb ki yeh Bhi Hain Justaju Karty

Jo Dekhty Teri Zangeer-e-zulf ka Aalam
Aseer Hony Ki Azaad Arzu Karty

Na Poch Aalam-e-Bar-Ghashta tale'e Aatish
Basrasti Aag, Jobaran Ki Arzu Karty
(Haider Ali Aatish)


Image result for aatish shayari



Tu Pyar Hai Kisi Aur Ka
 Tujhe Chahata Koi Aur Hai
 Tu Pasand Hai kisi Aur Ki 
Tujhe Mangta Koi Aur Hai.

Kon Apna HaiKiya Begana Hai
Kiya Haqeeqat Hai Kiya Fasana Hai 
Ye Zamane Mein Kisne Jana Hai.

Tu Nazar Mein Hai kisi Aur Ki
Tujhe Dekhta Koi Aur Hai
 Pyar Mein Aksar Aisa Hota Hai 
Koi Hasta Hai Koi Rota Hai.

Koi Paata Hai, Koi Khota Hai 
Tu Jan Hai Kisi Aur Ki
 Tujhe Janta Koi Aur Hai 

Tu Pyar Hai Kisi Aur Ka 
Tujhe Chahta Koi Aur Ha
i Tu Pasand Hai kisi Aur ki

Tujhe Mangta Koi Aur hai...!


Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain,

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain,

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain,

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain,

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain.
(Faiz Ahmed faiz)

Image result for qurb k na wafa k hotay hain



کچھ دن تَو بسو مری آنکھوں میں
پھر خواب اگر ہو جاؤ تو کیا

کوئی رنگ تو دو مرے چہرے کو 
پھر زخم اگر مہکاؤ تو کیا

جب ہم ہی نہ مہکے پھر صاحب
تم بادِ صبا کہلاؤ تو کیا

اِک آئینہ تھا سو ٹوٹ گیا
اب خود سے اگر شرماؤ تو کیا

تم آس بندھانے والے تھے،
اب تم بھی ہمیں ٹھکراؤ تو کیا

دنیا بھی وہی اور تم بھی وہی
پھر تم سے آس لگاؤ تو کیا

میں تنہا تھا میں تنہا ہوں
تم آؤ تو کیا نہ آؤ تو کیا

جب دیکھنے والا کوئی نہیں
بجھ جاؤ تو کیا گہناؤ تو کیا

اِک وہم ہے یہ دُنیا اس میں
کچھ کھوؤ تو کیا اور پاؤ تو کیا

ہے یوں بھی زیاں اور یوں بھی زیاں
جی جاؤ تو کیا مر جاؤ تو کیا



Hawas Ne Tukre Tukre Kar Diya Hai Na’u Insan Ku
Akhuwwat Ka Bayan Ho Ja Mohabbat Ki Zaban Ho Ja

Ye Hindi, Wo Khurasani, Ye Afghani, Wo Turani
Tu Ay Sharmindayeh Sahil Uchhal Kar Bekaraan Ho Ja

Yun Tu Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuch Ho, Batao Tu Musalman Bhi Ho?

Jo Karega Imtiyaz Rang o Khoon Mit Jayega
Turk Kharghai Ho Ya Arabi Wala Gohr

Ek Houn Muslim Haram Ki Pasbani Ke Liye
Neel Kay Saahil Se Lay Kar Ta Ba Khak Kashghir

Shajar Hai Firqa Arayee, Ta’assub Hai Samar Iska
Ye Wo Phal Hai Jo Jannat Se Nikalwata Hai Adam Ku

Firqa Bandi Hai Kaheen Aur Kaheen Zatein Hain
Kya Zamane Mein Panapne Ki Yahee Batein Hain?

Zaban Se Kah Bhi Diya La Ilaha Illah To Kya Hasil?
Dil-o-Nigah Musalman Naheen To Kuchh Bhi Naheen

Zaban Se Gar Kiya Tauheed Ka Da’wa To Kya Hasil?
Banaya Hay Bute Pindaar Ku Apna Khuda Tu Ne

Khuda Ne Aaj Tak Us Qaum Ki Haalat Naheen Badlee
Na Ho Jisko Khyal Aap Apni Haalat Ke Badalne Ka

Wahi Derina Bimari Wahi Namuhkami Dil Ki
Ilaj Iska Wahi Aabe Nishat Angez Hay Saaqi

Dil-e-Murda Dil Naheen Hay Ise Zinda Kar Dobara
Ke Yahee Hay Ummaton Ke Marge Kuhan Ka Chara

Manf-e-at Ek Hai Is Qaum Ki Nuqsaan Bhi Ek
Ek Hi Sab Ka Nabi Deen Bhi Iman Bhi Ek

Haram-e-Paak Bhi Allah Bhi Quran Bhi Ek
Kuchh Bari Baat Thi Hote Jo Musalman Bhi Ek

(Allama Iqbal)




Na kuch tha tu khud atha, kuch na hota tu khuda hota
Dabuya mujh ko hony ny, na hota mai tu kiya hota,

Hwa jab gham sy youn be-his Tu Gham kiya sar ke katny ka
na hota gar juda tan sy Tu zanoo par dhara hota 

Hwi mudat ke Ghalib mar gya par yaad ara hai 
Woh har ik baat py kehna ke youn hota tu kiya hota 
(Mirza Ghalib) 





Har ik baat py khty ho tum ke "tu kiya hai?"
Tumhi kaho ke yeh andaaz-e-Ghuftagu kiya hai

Na Shuele mai yeh karishma na berq mai yeh ada
koe btaw ke woh shokh-e-Tund khu kiya hai

Yeh rishk hai ke woh hota hai hum sukhn tum sy
Wagrna khof-e-bad Amozy-e- Adu kiya hai

Chipak raha hai badb par lahu sy pirahn 
Hamry ja'eb ko ab Hajit-e- rafu kiya hai

Jala hai jism jahan, dill bhe jal gya hoga
kureedty ho jo ab rakh, justaju kiya hai

Ragon mai dorny phirny ke ham nahi qa'el
Jab ankh sy hi na tapka tu phir lahu kiya hai
(Mirza Ghalib)


Image result for ghalib ghazals


Koe umeed bar nahi ati,
Koe sorat nazar nahi ati,

Mot ka ik din mue'yin hai,
Neend q raat bahr nahi ati,

Agy ati the haal-e-dill py hansi,
Ab kisi baat par nahi ati,

hai kuch aisi hi baat jo chup hon
Warna kiya baat kar nahi ati

Ham wahan hain jahan sy hm ko bhi
Kuch hamari khabar nahi ati

Marty hain arzu mai marny ki
Mot ati hai par nahi ati

Kaabe kis moun sy jaw gy Ghalib
Sharam tum ko magar nahi ati
(Mirza Ghalib)


Image result for ghalib ghazals





Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang
Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang

Maine samjhaa tha ke tu hai to darakhshaan hai hayaat
Tera gham hai to gham-e-dehar ka jhagdaa kyaa hai

Teri surat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat
Teri aankhon ke siwaa duniyaa mein rakhkhaa kya hai

Tu jo mil jaaye to taqdir nigoon ho jaaye
Yoon na thaa maine faqat chaahaa thaa yoon ho jaaye


Aur bhi dukh hai zamaane mein muhabbat ke siwaa
Raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siwaa


Anginat sadiyon ki taareeq bahemaanaa tilism
Resham-o-atlas-o-kamkhwaab mein bunvaaye hue


Ja-ba-ja bikte hue koochaa-o-baazaar mein jism
Khaak mein lithade hue, khoon mein nehlaaye hue


Jism nikle hue amraaz ke tannooron se
Peep behti hui galte hue naasooron se


Laut jaati hai udhar ko bhi nazar, kya keeje?
Ab bhi dilkash hai tera husn, magar kya keeje?


Aur bhi dukh hai zamaane mein muhabbat ke siwaa
Raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siwaa


Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang
Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang
(Faiz Ahmed faiz)

Image result for faiz ahmed faiz ghazals

ishq mujhko nahi wahshat hi sahi
meri wahshat teri shohrat hi sahi

qata kije na talluq ham se
kuch nahi hai to adawat hi sahi

mere hone mein hai kya ruswai
ye wo majlis nahi khalwat hi sahi

ham bhi dushman to nahi hain apne
gair ko tujh se mohabbat hi sahi

apni hasti hi se ho jo kuch ho
agahi gar nahi gaflat hi sahi

umr har chand ki hai barq-e-khiram
dil k khun karne ki fursat hi sahi

ham koi tarq-e-wafa karte hain
na sahi ishq musibat hi sahi

kuch to de ai falak-e-nainsaf
ah-o-fariyad ki rukhsat hi sahi

ham bhi taslim ki khu dalenge
beniyazi teri adat hi sahi

yar se cheda chali jaye "Asad"
gar nahi wasl to hasrat hi sahi
(Mirza Ghalib)



Image result for ishq mujhko nahi wahshat hi sahi


Jo Hum Kehty Hain Yeh Bhi Q Nahi Kehta, Yeh Kafir hai
Hmara Jabar Yeh Hans Kr Nahi Sehta, Yeh Kafir Hai

Yeh Insan Ko Mazjab Sy Parkhny Ka Mukhalif Hai
Yeh Nafrat K Qabilon Mai Nahi Rehta, Yeh Kafir Hai

Boht Behshram Hai Yeh Maa, Yeh Mazdori Ko Nikli Hai
Yeh Bacha Bhook Ik Din Ki Nahi Sehta Yeh kafir Hai

Yeh Badal Aik Rasty Par Nahi Chalty, yeh Baghi Hain
Yeh Darya Is Traf Ko Q Nahi Behta, Yeh Kafir Hai

Hain Mushrik Yeh Hawain Hey Roz Qibla Badlti Hain
Ghana Jungle Inhain Kuch Bhi Nahi Khta Yeh Kafir Hai

Yeh Tittli Fahisha Hai, Phool Ke Bistar Py Soti Hai
Yeh Jugno Shab Ke Pardy Mai Q Nahi Rehta, Yeh Kafir Hai

Shreey'n Tu Kisi ka Ghunghunana Bhi Nahi Ja'ez
yeh Bha'nwra Q Bhala Phr Chup nahi Rehta, Yeh Kaafir Hai
(Shakeel Jaffery) 







Wo Tujh Ko Bhoole Hain by Meer Taqi Meer

Wo Tujh Ko Bhoole Hain To Tujh Pe Bhi Lazim Hai ‘Meer’,
Khaak Daal, Aag Laga, Naam Na Ley, Yaad Na Kar…






Silsilay Tor Gaya Woh Sabhi Jatay Jatay by Ahmed Faraz

On this day, Ahmed Faraz departed from this world to eternity. Widely regarded as one of the greatest Urdu poets to ever hold the pen, his writing style was admired and acknowledged for being easy and comprehensive. Recipient of Sitara-e-Imtiaz, Hilal-e-Imtiaz and Hilal-e-Pakistan for his incredible literary work, today marks his 8th death anniversary. And back in the days he quoted:

Silsilay Tor Gaya Woh Sabhi Jatay Jatay
Warna Itne To Marasim The Ke Aate Jate

Shikwa e Zulmat e Shab Sey Tou Behter Tha
Apney Hissay Ki Koi Shamma Jalatay Jatay



Kitna Asaan Tha Teray Hijr Mein Marna Janaa

Phir Bhee Ik Umr Lagi Jaan Se Jatay Jatay



Jashn e Maqtal Hi Na Barpa Hua Warna Hum

Pa’ Bajoulaan Hi Sahi, Nachte Gaate Jatay



Us Ki Woh Jane Usey Pass e Wafa Tha Keh Na Tha

Tum Apni Taraf Se To Faraz Nibhate Jate




Ae chand yahan na nikla kar, by habib Jalib

Ae chand yahan na nikla kar,
Be nam se sapne dikhla kar,
Yahan ulti ganga bahti hai,
Is dais main andhe hakim hain,
Na darte hain na nadim hain,
Na logon k wo khadim hain,
Hai yahan pe karobar bohat,
Is dais main gurbat bikte hain,
Kuch log hain aali shan bohat,
Aur kuch ka maqsad roti hai,
Wo kahte hain sab acha hai,
Maghrib ka raj he sacha hai,
Ye dais hai andhe logon ka,
Ae chand yahan na nikla kar...

اے چاند یہاں نہ نکلا کر
بے نام سے سپنے دیکھا کر
یہاں اُلٹی گنگا بہتی ہے
اس دیس میں اندھے حاکم ہیں
نہ ڈرتے ہیں نہ نادم ہیں
نہ لوگوں کے وہ خادم ہیں
ہے یہاں پہ کاروبار بہت
اس دیس میں گردے بکتے ہیں
کچھ لوگ ہیں عالی شان بہت
اور کچھ کا مقصد روٹی ہے
وہ کہتے ہیں سب اچھا ہے
مغرب کا راج ہی سچا ہے
یہ دیس ہے اندھے لوگوں کا
اے چاند یہاں نہ نکلا کر
{حبیب جالب}

Jab Zameen Py Barish Hoti Hai  By Neelum Ayub

Rain, poetry and love are symbolic to each other Here are some awesome words of Neelum Ayub. 


Jab Zameen Py Barish Hoti Hai 
Tu Andar, Boht Andar
Sailaab Aty Hain
Tmhary Khayal 
BeHisaab Aty Hain
Jab Zameen Py Barish Hoti Hai
    Tu Qabar Py Meri   
Boht  Sy Ghullab Aty Hain
Phr Asmaan Sy yeh Qatry 
Boht Bytaab Aty Hain
Jab Zameen Py Barish Hoti Hai 
Tery Milny K Mjhy 
Schy Khawaab Aty Hain
                                                                                       (Neelum Ayub) 
Rain, poetry and love are symbolic to each other Here are some awesome words of Neelum Ayub. 


Jab Zameen Py Barish Hoti Hai 
Tu Andar, Boht Andar
Sailaab Aty Hain
Tmhary Khayal 
BeHisaab Aty Hain
Jab Zameen Py Barish Hoti Hai
    Tu Qabar Py Meri   
Boht  Sy Ghullab Aty Hain
Phr Asmaan Sy yeh Qatry 
Boht Bytaab Aty Hain
Jab Zameen Py Barish Hoti Hai 
Tery Milny K Mjhy 
Schy Khawaab Aty Hain
                                                                                       (Neelum Ayub) 


Wo dushman-E-jaN, jaan se pyaara bhi kabhi tha by Ahmed Faraz

Sad,romantic,classic whatever is the type of poetry you will it Faraz Ahmed's name in this ground.  Ahmed Faraz was a Pakistani Urdu Poet. He was considered one of the greatest modern urdu   poet of the last century.  
Wo dushman-E-jaN, jaan se pyaara bhi kabhi tha
Ab kis se kahaiN, koii humaara bhi kabhi tha
Utra hai rag-O-pai mein to dil kaT sa gaya hai
Yeh zehr-E-judaai K gawaara bhi kabhi tha
Har dost jahaN abr-E-gurezaaN ki tarah hai
Ye shehar kabhi shehr humaara bhi kabhi tha
Titli ke ta’aaqub mein koi phool sa bachcha
Aisaa hi koi khaab humaara bhi kabhi tha
Ab agle zamaane ke milen log toh puchheiN
Jo haal humara hai tumhaara bhi kabhi tha?
Har bazm mein hum ne usay afsurda hi dekha
kahte hain ‘Faraz’ anjuman-aara bhi kabhi tha
(Ahmed Faraz)


Ay Gham-e-Dunya ik teri hi mehrbani hai

Grief and sorrows, ups and downs are part of life. The value of comfort and ease can never be understood without these ups and downs. The best way to expose your inner feelings at the time of these ups and downs is to do poetry, to express your feelings in words.  





Woh hata rahe hain parda

Woh hata rahe hain parda
Woh hata rahe hain parda
Sar-e-baam chupke chupke

Woh hata rahe hain parda
Sar-e-baam chupke chupke
Mein nazara kar raha hoon
Sare-e-shaam chupke chupke

Ye jhuki jhuki nigaahein
Ye hasein hasein isharay
Mujhe de rahe hain shayed
Woh payam chupke chupke

Na dikhaao chalte chalte
Yun kadam kadam pe shokhi
Koi katl ho raha hai
Koi katl ho raha hai
Sar-e-aam chupke chupke

Kabhi shokhian dikhana
Kabhi un ka muskurana
Yeh adaaein kar na dalein
Mera kaam chupke chupke

Ye jo hichkiyan musalsal
Mujhe aa rahi hain alam
Koi le raha hai shayed
Koi le raha hai shayed

Mera naam chupke chupke



ik Ghari Kiya Khareed Li Mai Ny 
Wakt Peechy Hi Parh Gya Mery





Ilahi Pholon Mai Woh Intikhab Mjh Ko kary
Kali Sy Rashk Gull e Aaftaab Mujh Ko Kary




Qismat Sath Nahi Deti 
Bilkul Tery Jesi  Hai 




Lahasil Hi Sahi Magr 
Muhabbat Tujh Sy Hi Hai



hasti apni hubab ki si hai by Mir Taqi Mir

Mir Taqi Mir employs a mesmerizingly mystic, almost surrealitic imagery in these couplets:

"hasti apni hubab ki si hai
ye numaish sarab ki si hai

nazuki us k lab ki kya kahiye
pankhari ik gulab ki si hai

bar bar us k dar pe jata hun
halat ab iztirab ki si hai

main jo bola kaha k ye awaz
usi khana-kharab ki si hai

'Mir' un nim-baz ankhon main
sari masti sharab ki si hai
                (Meer) 





Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota By Ghalib


Mirza Asad Ullah Khan Ghalib One of the best and prominent Muslim poets of the Indo-Pak Sub-Continent, Mirza Asadullah Khan Ghalib, was born in 1796 at Agra. His father Abdullah Beg Khan and uncle Nasrullah Beg Khan were in the army. He received classical Mughal education at Agra with Persian being one of the chief subjects. Ghalib once said that Mulla Abdus Samad Harmuzd was his tutor at Agra. Some writers opine that the tutor is just a myth. If so, then amazingly he seems to be a born genius as there is, indeed, vast knowledge of history, human psychology, ethics and philosophy which is reflected in works of Ghalib’s prose and poetry.
Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota
Agar aur jeete rahtay,  yehi intezaar hota
Tere waa’de par jiyee ham to yeh jaan chhooT jana
K khushi se mar na jaate!!!  agar intezaar hota
Koi mere dil se poochhe, tere teer E neem kash ko
Yeh khalish kahaaN se hoti, jo jigar k paar hota
Yeh kahaaN ki dosti hai K bane haiN dost naaseh
Koi chaaraa saaz hota koi Ghamghusaar hota
KahuN kis se maiN K kya hai shab E Gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marnaa agar aik baar hota
Hue mar K ham jo ruswa hue kyuN ka Gharq E dariya
Na kabhi janazaa uthta na kahiN mazaar hota
Yeh masaael E tasavvuf, yeh tera bayaan ‘Ghalib’
Tujhe ham wali samajhte Jo na baadaakhaar hota
                                                            (Ghalib)





Tere ishq ki inteha chaahta hooN

Allama Muhammad Iqbal,the  poet of East, is considered one of the most important figures in Urdu literature.Though Iqbal is best known as an eminent poet, he is also a highly acclaimed "Muslim philosophical thinker of modern times".

Tere ishq ki inteha chaahta hooN
Meri saadgi dekh kya chaahta hooN
Sitam ho K ho wadaa E be-hijaabi
Koi baat sabr-aazma chaahta hooN
Yeh Jannat mubarak rahe zaahidoN ko
K maiN apka saamna chaahta hooN
Zara sa to dil hooN magar shauq itna
Wohi lantaraani suna chaahta hooN

Koi dum ka mehmaan hooN ae ahl E mahfil
Chirag E sehar hooN bujha chaahta hooN
  Bhari bazm meN raaz ki baat kahdi
BaRa be-adab hooN sazaa chaahta hooN
                                                                                                   (Iqbal)






Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke Silsilay Bhee Nahee By Perveen Shakir

Perveen Shakir, one of the renowned poetess of Urdu. Her unique tone received a high reputation in a very short time period. Perveen Shakir wrote many master pieces but the lady was itself a master piece. Besides her poetry,she was civil servant in Pakistan Government.

Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke Silsilay Bhee Nahee
Shikast-e-Khwaab Ke Ab Mujh Mein Honslay Bhee Nahee
Nahee Nahee ! Ye Khabar Dushmanon Ne Di Hogi
Wo Aaye, Aa Ke Chalay Bhee Gaye ! Milay Bhee Nahee
Ye Kon Loog Andheron Ki Baat Kartay Hain ?
Abhee Tou Chaand Teri Yaad Ke Dhalay Bhee Nahee
Abhee Se Mere Raffugar Ke Haath Thaknay Lagay
Abhee Tou Chaak Mere Zakham Ke Silay Bhee Nahee
Khafaa Agarche Hamesha Howay Magar Ab Ke

Wo Barhami Hai Ke Hum Se Unhain Gilay Bhee Nahee




Phir Youn Hwa Janaa by Neelum Ayub

Phr Youn Hwa Janaa
Ham Bikhar Gae, Woh Toot Gae Janaa





Bint-e-Hawa Apni Chadar Ki Tu Hifazat Karna By Neelum Ayub

It is a clear fact no society can make progress without women participation. Women play an important role in building a progressive society. Here are few words of Neelum Ayub for the guidance of women to survive in this cruel world.



Iqbal tery Ghulistaan py chaya hai Khazawon ka mosam  by Neelum Ayub

Neelum Ayub a young and new poetess. Her words shows her deep thoughts for her country.  Here it goes, 
Iqbal tery Ghulistaan py chaya hai Khazawon ka mosam 





Yaad-e-Maazi bhi azaab hai Yah Rab by Mirza Ghalib


Mirza Asad Ullah Khan Ghalib, the most famous poet of Indo-Pak. The Shakespeare of Urdu literate. One of his best ghazal is here 



Seena khoon se bhara hua mera,
Uff yeh bd-mast mai-kada mera,

Na-rasaayi pe naaz hai jis ko,
Haaye woh shoq na-rasaa mera,

Ishq ko muu dikhaaon ga kyun-kar,
Hijr main rang urr geya mera,

Dil gham-deeda pr khudaa ki maar,
Seena aahon se chhal geya mera,

Yaad ke tand-o-taiz jhonkay se,
Aaj har daagh jal utha mera,

Yaad-e-maazi azaab hai ya rab,
Cheen le mujh se haafza mera,

Minat-e-chargh se barii hoon main,
Na hua jeetay jee bhala mera,

Hai bara shughal zindagi akhtar,



Poochte ho kya mashghala mera..



Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khyaal bhi  By Perveen Shakir

Perveen Shakir, one of the renowned poetess of Urdu. Her unique tone received a high reputation in a very short time period. Perveen Shakir wrote many master pieces but the lady was itself a master piece. Besides her poetry,she was civil servant in Pakistan Government. 
Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khyaal bhi.
Dil ko khushi k sath sath hota raha malaal bhi.

Baat wo aadhi raat ki,raat wo pure chaand ki.
Chaand bhi aen cheet ka Us par tera jamaal bhi.

Sab se nazr bacha k wo mujh ko kuch aese dekhta.
Ik dafa to ruk gayi gardish-e-mah o saal ki.

Dil to chamk saky ga kya phir bhi taraash ke dekh lain.
Sheesha garaan-e shehar k haath ka ye kamaal bhi.

Us ko na pa saky thay jab dil ka ajeeb haal tha.
Ab jo palat k dekhiye baat hi kuch muhaal bhi.

Meri talab tha aek shakhs wo jo nahin mila to phir.
Haath dua se yun gira bhool gaya sawaal bhi.

Us ki sukhn taraaziya'n mere liye bhi dhaal thee'n.
Us ki hansi men chhup gaya apne ghamon ka haal bhi,

Gaah qareeb shah-ragg,gaah ba'eed-e wehm o khwab.
Us ki rafaqaton men rat,hijr bhi tha wisaal bhi.

Us k hi bazwon men aor us ko hi sochty rahy.
Jism ki khwahishon pe thay rooh k aor jaal bhi.

Shaam ki na'samjh hawa puchh rahi ha ik pataa.



Mouj-e hawa-e ku-e yaar,kar kuch to mera khayal bhi.

No comments:

Post a Comment