Tuesday, 1 November 2016

Mujh Sy Phli Si Muhabat Mery Mhehboob Na Maang By Faiz Ahmed Faiz

Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang
Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang

Maine samjhaa tha ke tu hai to darakhshaan hai hayaat
Tera gham hai to gham-e-dehar ka jhagdaa kyaa hai

Teri surat se hai aalam mein bahaaron ko sabaat
Teri aankhon ke siwaa duniyaa mein rakhkhaa kya hai

Tu jo mil jaaye to taqdir nigoon ho jaaye
Yoon na thaa maine faqat chaahaa thaa yoon ho jaaye


Aur bhi dukh hai zamaane mein muhabbat ke siwaa
Raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siwaa


Anginat sadiyon ki taareeq bahemaanaa tilism
Resham-o-atlas-o-kamkhwaab mein bunvaaye hue


Ja-ba-ja bikte hue koochaa-o-baazaar mein jism
Khaak mein lithade hue, khoon mein nehlaaye hue


Jism nikle hue amraaz ke tannooron se
Peep behti hui galte hue naasooron se


Laut jaati hai udhar ko bhi nazar, kya keeje?
Ab bhi dilkash hai tera husn, magar kya keeje?


Aur bhi dukh hai zamaane mein muhabbat ke siwaa
Raahatein aur bhi hain vasl ki raahat ke siwaa


Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang
Mujh se pehli si muhabbat mere mehboob na maang
(Faiz Ahmed faiz)

Image result for faiz ahmed faiz ghazals

No comments:

Post a Comment