Tuesday, 1 November 2016

Hawas Ne Tukre Tukre Kar Diya Hai Na’u Insan Ku, By Allama Iqbal



Hawas Ne Tukre Tukre Kar Diya Hai Na’u Insan Ku

Akhuwwat Ka Bayan Ho Ja Mohabbat Ki Zaban Ho Ja

Ye Hindi, Wo Khurasani, Ye Afghani, Wo Turani

Tu Ay Sharmindayeh Sahil Uchhal Kar Bekaraan Ho Ja

Yun Tu Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho

Tum Sabhi Kuch Ho, Batao Tu Musalman Bhi Ho?

Jo Karega Imtiyaz Rang o Khoon Mit Jayega

Turk Kharghai Ho Ya Arabi Wala Gohr

Ek Houn Muslim Haram Ki Pasbani Ke Liye

Neel Kay Saahil Se Lay Kar Ta Ba Khak Kashghir

Shajar Hai Firqa Arayee, Ta’assub Hai Samar Iska

Ye Wo Phal Hai Jo Jannat Se Nikalwata Hai Adam Ku

Firqa Bandi Hai Kaheen Aur Kaheen Zatein Hain

Kya Zamane Mein Panapne Ki Yahee Batein Hain?

Zaban Se Kah Bhi Diya La Ilaha Illah To Kya Hasil?

Dil-o-Nigah Musalman Naheen To Kuchh Bhi Naheen

Zaban Se Gar Kiya Tauheed Ka Da’wa To Kya Hasil?

Banaya Hay Bute Pindaar Ku Apna Khuda Tu Ne

Khuda Ne Aaj Tak Us Qaum Ki Haalat Naheen Badlee

Na Ho Jisko Khyal Aap Apni Haalat Ke Badalne Ka

Wahi Derina Bimari Wahi Namuhkami Dil Ki

Ilaj Iska Wahi Aabe Nishat Angez Hay Saaqi

Dil-e-Murda Dil Naheen Hay Ise Zinda Kar Dobara

Ke Yahee Hay Ummaton Ke Marge Kuhan Ka Chara

Manf-e-at Ek Hai Is Qaum Ki Nuqsaan Bhi Ek

Ek Hi Sab Ka Nabi Deen Bhi Iman Bhi Ek

Haram-e-Paak Bhi Allah Bhi Quran Bhi Ek

Kuchh Bari Baat Thi Hote Jo Musalman Bhi Ek
(Allama Iqbal)

1 comment: