Friday, 16 September 2016

Ab ke hum bichre to shayad by Faraz

Ab ke hum bichre to shayad kabhi khwaabon mein milain
Jis tarah sukhe huye phool kitabon mein milain
Dhoond ujre huye logon mein wafa ke moti
Ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milain
Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha bardhta hai sharabein jo sharabon mein milain
Tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
Dono insaan hain tou kyun hijabon mein milain
Aaj hum daar pe khainchay gaye jin baaton par
Kya ajab kal wo zamaanay ko nisaabon mein milain
Ab na wo main , na woh tu hai, na wo maazi hai “Faraz”
Jaise do shakhs tamannaa ke saraabon mein milain..

No comments:

Post a Comment