Thursday, 15 September 2016

Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi ,



Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi ,
Keh dhoop chayon ka alam raha, judaayi na thi.

Tark-e-taluqat pe roya na tu na main,
Lekin ye kya ke chain se soya na tu na main.

Adawatain theen, taghaful tha, ranjishain theen magar,
Bicharne walay mai sab kuch tha, bewafayi na thi.

Bichartay waqt bhi un aankhon mai thi humari ghazal,
Ghazal bhi woh jo kisi ko kabhi sunayi na thi


No comments:

Post a Comment